AISA HOTA HAI LAKIN.... SALLAM TO ALL FRIENDS
Kuch bhaiyoon nai yai bataya kai saudi main auratoon kai liyai alahida jaga ka intizaam hota hai.Har masjid main.Lakin waisai wahan kai qanoon ko to daikoo.Kitna saqt hai wahan ghunnah ki range main kitni kami hai.Aur saza kitni sakt hoti hai.Is liyai koyee majal nahin kar sakta kuch bora karnai ki.
Har nizaam teeq hai wahan to sab kuch ho sakta hai.Pakistan main ajj kal mahool aisa hai kai koyee kuch bi apni marzi sai nahin kar sakta.Jo mulk kalmai ki bunyaad par bana hoo.Aur us main US kai qanoon chalai.To yai mumkin hi nahin kai kai wahan koyee chain sai rahai.
Ham apnai app ko azaad kehtain hain.Lakin ham naam kai azaad hai.Ham pai hokomat US ki hai.Isi liyai har rooz BOMB blast hotain hain.Yai ham par azaab hai ALLAH ki taraf sai.Jo ham nafarmainoon main waqt ghuzaar rahain hain.Naam sai musalmaan aur kaam kai kafiroon sai bi zyada hai ham.Ham ajj kal kisi ko dawat-e-islam bi nahin daisaktai.Q kai hamarai amaal teeq nahin.
ALLAH hamain naiki ki hidayat karain.Aur hamain bagair kisi hisaab-o-kitaab kai jannat main dakihil karain.Hamairai amaal bohat zyada kharaab hain.ALLAH hi bakhnai wala maaf karnai wala behtar hai.ALLAH hamain naik rah pai chalnai ki tofeeq ata farmayee.Aur hamarai Imaan mazboot karain..AMEEEEEEEEEEN.
TAKE CARE
ALLAH HAFIZ |