Islamic Cuture & Our Role Models
Sahih Bukhari, kitab ahaadeesul ambeyaa ki aik hadees ka mafhoom: 1.hazrat Umer farooq RA ki beTi hazrat hafsah RA k pahlay khawand hazrat ibnay khazafah RA faut hogaye to sayyadana Umer RA sayyadana Usman bin affan RA say milay aur kahaa k tum chaaho to maiN apni bewah beTi ka nikaah tum say kar douN... Hazrat Usman RA nay yeh kah kar maazrat kar li k maiN abhi doosra nikaah karna monaasib nahi samajhtaa. 2. sayyadana Umer farooq RA iskay baad hazrat Abu Bakar siddique RA say milay aur onsay bhi yehi baat ki... Hazrat Abu bakar RA nay khamosh rahay aur koi jawaab nah dia ... jiss par hazrat Usman RA ko ghussa bhi aayaa 3. phir Nabi e kareem saw nay hazrat hifsah RA k liyeh nikaah ka paighaam bhijwayaa to hazrat Umer Farooq RA apni beTi ka nikaah aap saw say kardia. 4. iss shadi k baad hazrat Abu bakar RA hazrat Umer RA say milay to farmayaa tumhain meray jawaab nah denay say ghussa to ayaa hogaa lekin meri khamoshi ki wajah yeh thee k Rasool Allah saw nay mujh say zikr kia thaa k kia maiN hifsah RA say nikaah karlouN... chunaanchah maiN onkaa raaz afshaa nahi karsakta thaa. aap iss islamic culture par zara Thanday dil say Ghaur karaiN to (aaj k hisaab say) baRi (naam nehaad) "ajeeb o ghareeb" sooratay haal nazar aati hai. 1. beTi bewah hojati hai to baap apni beTi ka rishath lay kar aik aik k pas jata hai ... kia aaj hum aisaa karnay ko "mayoob" nahi samajhtay... agar yeh baat mayoob hoti islamically to kia hazrat umar farooq RA aisaa kartay? 2. aik baap apni beTi ka rishat apnay dost no-1 ko pesh karta hai.. woh inkaar karta hai to dost no-2 ko pesh karta hai... kia apnay ham sin dostoun ko apni beti ka rishtah dena aur woh bhi apnay mouNh say aaj "mayoob" khayaal nahi kia jata... kia islamically yeh aisa karna mayoob hai. 3. hazrat Muhammad saw apnay aik rafeeq /dost ki bewah beTi say shadi karnay ka tazkerah apnay aik teesray dost say kartay hain aur phir nikaah ka paighaam bhej detay hain... kia aaj aisaa hum maiN say koi karnaa "mayoob" nahi samajhtaa. 4. hazrat hafsaa RA nay iss nikaah ko khosshi say qabool kiaa... onhouN nahi socha k apnay baap k dost say nikaah karoungi to log kia kahengay... kia aaj koi larki /aurat iss baat ko dil say qabool karegi. 5. Hazrat Muhammad saw nay apnay mouNh bolay beTay hazrat zaid bin haarisah ki mutleqah say shadi ki... woh pahlay o iss shadi say hichkichaa rahay thay magar Allah nay yeh shadi "by-order" karwayee (see soorat Al.Ahzaab) takay ayandah muslims mouNh bolay rishtouN ko real nah samajh lain... kia aaj hum apnay "betay jaisay" kissi shakhs ki bewah /mutleqah say shadi karnay ko tayyar haiN??? yahaan koi iss Ghalat fahmi maiN nah rahay k yeh shadi aik nabi saw ki shadi thee aur yeh amal sirf onkay liyeh makhsoos thaa... nahi hargiz nahi... aisaa bilkul nahi hai... wazah rahay iss amal ka aghaaz aik ghair Nabi hazrat umer RA nay kia tha. aur onhaiN kissi nay yeh nahi kaha k tum yeh kia "mayoob" baat kar rahay ho. jo batain /aamaal sirf aur sirf Nabi saw k liyeh makhsoos hain onki wazahat kar dee gayee hai. jaisay Nabi saw aik waqt main 4 say zeyadah nikaah karsaktay haiN koi aur muslim nahi kar sakta .. nabi saw ki bewah tamaam muslims par HARAM haiN ... kissi aur muslin ki bewah par aisee koi pabandi nahi... Nabi saw "mosalsal nafli rozay rakha kartay thay ... aap saw nay aam muslims ko aisa akarnay say manaa kardia tha etc... lehaza aap saw k jis amal ki pairwi say roka nahi gaya woh ham sab k liyeh qaabilay pairwee sunnat hai. Ind o pak k kaRoRouN muslim gharanay iss waqt shadi beyaah k masaail aur iskay nateejay maiN ikhlaaqi bay raah rawi ka shikaar horahay haiN. in masaail ka wahid hul asal islamic taleemat /islamic culture ko farogh denay main hai. aur asal islamic role models ko follow karnay maiN hai... jabkay hum asal main dindu culture/ english culture k tehat apni family life guzaar rahay hain ... inkay saath arsaah daraaz tak saath rahnay ki wajah say... Allah hum sab ko deenay islam k culture ko apnaanay ki taufeeq day aameen.... any comments or question about this thread???
|