|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 98 Post: 5392 Age:
|
|
| Posted on:27th Aug 2010, 11:55pm |
|
| |
Kia Koi Bhi Wazifa Parhne Se Pehle Ijazat Zarori Hai? Asslam o Alikum.. omeed hai sab k rozey ache ja rahe hon ge aur sab log theik hon ge.aur meri dua bhi hai.
ab ati hon sawal ki traf. sawal ye hai k aksar net pe ya Tv pe koi wazaif btaey jatey hain to kia onhe parh lena chahiye.ya kuch ese wazaif bhi hote hain jin k lie kehte hain k aap ise parhne k bad kali mirchein jalana,kisi orange chez ka saqda krna waghaira.
mojhe kisi ne kaha k koi bhi amal krna ho yani koi bhi wazifa aap krna chahte hon to is k lie aap pehle kisi alim se ijazat le lein phir hi karein warna is ka asar ulta bhi ho sakta h.
to aap kia kehte h?kis had tak ye bat dursut hai?
|
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 117 Post: 6921 Age:
54
|
|
| Posted on:28th Aug 2010, 12:08am |
|
| |
wazeefah aur amalyaat
2 alag alag shai haiN... haqeeqi wazaaif SIRF woh haiN jo ahaadeesay nabwi saw say sabit haiN aur sahih ahaadees ki kutub maiN darj haiN.... aisay wazaaif maiN mukhtalif amraaz /samaji masaail k hull k liyeh quranic ayaat ka wird yaa Nabi kareem saw ki apni batlayee howi dua shamil hoti hai........... inka tareeqah bahoot asaan hai... on ayaat /dua ko paak saaf haalat maiN... yaa baad namaaz k paRh kar apnay hathouN par phoonk maarkar apnay hathouN say apnay jism k hissouN ko phernaa...oskay baad apnay maslay k hul k liyeh apni maadri zubaan maiN Allah say duaa maangnaa, awwal aakhir hamd o sanaa k baad....
buzurgouN k wazaaif:... kuch wazaaif buzurgouN say mansoob haiN....... aisay wazaaif ki 3 batouN ki tahqeeq karlaiN.... 1) originally yeh wazeefah kiss buzrug say mansoob hai 2) on buzrug ki apni kia hasiyat hai islam maiN...kia woh mustanad sahabi haiN, tabe'een maiN say haiN yaa tabba taabe'een main say haiN yaa youN.hee say haiN 3) wazeefah maiN quranic ayaat hi batlaayee gayee haiN yaa kuch aur etc etc
agar yeh 3 tahqeeq durust ho aur wazeefah kissi islami taleem say nah tak.raa.ay to issay bhi paRha jasakta hai apnay issues k hull k liyeh k bil.aakhir saraa quran hamaray masaail k hull hi k liyeh aayaa hai...but ahsan wazeefah yehi hai k sirf wohi wazeefah paRha jaa.ay jo ahaadees say saabit hai
AMALYAAT agar kissi wazeefay k saath koi amal shamal bhi ho like agar battiyaan jalana, kala bakray ka khon, qabar pay chilla khaichna etc etc yeh sab shaitaani amalyaat haiN.... wazah rahay k shaitaani amalyaat bhi apna asar rakhti haiN...insay matloobah maqsad bhi hasil hota hai aur khilaaf amal karnay par ulta nuqsaan bhi ... but har soorat maiN aisay amalyaat say imaan ko nuqsaan pahonchta hai...... amalyaat karanay walay aksar auqaat commercial hotay haiN...directly ya indirectly...jetnay bhi wazaaif /amalyaat kissi ki "ijazat" k mohtaaj houN...samajh laiN k oss maiN kuch to hai jiski pardah daari hai........... ISLAM aik open mazhab hai iss maiN kissi ko kissi baat par amal karnay ki koi bandish nahi..har amal sab k liyeh hai....... zikray faatemi hi ki misaal lay laiN... aap saw nay apni beTi ko oskay masaail k hal k liyeh har namaaz k baad 33 +33+34 martabah subhan Allah, Alhamdolillah, Allah o Akbar paRhnay ka "wazeefah" dia... lekin jab iski khabar doosroun ko howi to sab nay paRhna strat kardia...kia sab nay iski ijazat li thee???
|
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 98 Post: 5392 Age:
|
|
| Posted on:28th Aug 2010, 12:21am |
|
| |
Rizvi uncle jazak Allah.aap ne in ki detial btai.
yani jo amal btaya jata hai k itne mah tak kro ya itne din aik hi time pe os k lie ijazat li jae gi os batane wale ki.
to phir kia ye amal black magic jese hi hain?
|
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 117 Post: 6921 Age:
54
|
|
| Posted on:28th Aug 2010, 3:29am |
|
| |
origin black magic hi hai jinhaiN muslim awaam ko bewaqoof banaanay k liyeh "musharraf bah islam" kar lia jata hai........... aisay aameleen ki apni zindagi islam say bahoooooooot dooooooor hoti hai |
|
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 186 Post: 6488 Age:
35
|
|
| Posted on:28th Aug 2010, 6:21am |
|
| |
yeh esssy he hay jessy doctor say pochy binaa medicine use nai kurna nahi tu noqsaan ho jay gah, yeh koch professional molvi aamil essaa bolty hen taa kay onki dokaan chumki ray , assul meah meah Duaa ko ziyada importance data hon ap suchy dil say Allah say jo mangy woh apko ataa kury gah lakin dua meah ap oski Humd-o-sunaa kurin, Allah ki pakeezghi or buraai biyaan kurin , baki jo zikur uzkar Ahadess meah mojood hen onko apni doahon meah shamil kurin yeh bot achi bat hay essi tura mushoor doayin hen onko bhe apni dohao meah shamil kurin, jesy sorat buqra ki last 2 ayat, |
|
H/dr_Qasim
|
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 186 Post: 6488 Age:
35
|
|
| Posted on:28th Aug 2010, 10:02am |
|
| |
Koi bhe wuzeefa ho koi bhe wuzeefa ho os meah Allah ki pakeezghi or Buraai biyaan ki jati hay jesy agur kisi ko Apna koi raaz afshaa hony ka dur ho tu woh apni dohaa meah SATTAR la wuzeefa kurty hen tu Allah aaybo ka chopaany wala purdaa dalny wala hay ap ess nam ka wird kur kay apni dohaa ko qubooliyaat kay qureeb lay ja sukty hen, sub Allah ki sifaat hen so enka bina ejaazat zikur kurny say koch nahi hota, |
|
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3249 Age:
36
|
|
| Posted on:28th Aug 2010, 10:59am |
|
| |
wazeefa kia hey wazeefa asal main hum ny apny liye aik kisam ki dhal (shield) samj li hey ...amooman insan ki be bas aqal ya kawshain jab amli toor par rang nahi lateen too hum jismani koshish ki bajaye wazeefoon k chakar main parr jaty hain ...jaisy masla kasmeer aik aysa masla hey jisy jismani koshish kar k hal kiya jana chahiye..magar hum iss k liye du'aien (wazeefa jaat) karty howy nazar aty hain
issi tarh hamari zindgi main majood deegar aam mamolaat b hain jinhain hum agar agar jismani effort kar k hasil karna chahain to kar sakty hain magar hum aysa nahi karty aur wazeefa waghaira k chakroon main parr jaty hain
wazeefa ka amal uss waqat anjam daina chahiye jab tammam insani efforts aur struggles be bas ho jaien tab aap allah sy du'a karain q k wo taqtawar zaat har masla par qadir hey..magar hum kia karty hain agar humain rozgaar nahi mil raha ya shadi nahi ho rehi ya koi aur mushkil dar paish hey to us k liye efforts karny ki bajaye ussy wazayf sy hasil karny ka sochny lagty hain
pakistani mu'ashry ki nisbat aap European society ko daikhain wo wazayf par kam aur amli jadd-o-jahad par ziyada yaqen rakhty hain unn logoon ny wo kuch apni maharat aur amli koshish sy hasil kar liya hey jisy hum aaj k iss technological door main b wazayf aur amliyaat sy hasil karny ki koshish kar rahy hain
mera wazayf ki ahmiyat ya asraat sy ikhtelaaf nahi hey magar asal bat jo main samjana chata hoon wo yeh hey k hum inn wazayef ki arr main asal jismani koshishoon ko tark kar daity hain aur apni har mushkil ka hall efforts ki bajaye wazayef sy nikalny ki koshish karny lag jaty hain ...walla ho ilam bis-swab |
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 98 Post: 5392 Age:
|
|
| Posted on:31st Aug 2010, 3:19am |
|
| |
thanks to all of u aap sab ne itni achi batein share ki.aur mojhe is ka jawab bhi buhot khob surat andaz me mil gya h. jazak Allah
|
|
tuba Ahmad
|
Group: Members Joined: 30th Jul, 2010 Topic: 23 Post: 165 Age:
28
|
|
| Posted on:31st Aug 2010, 5:28am |
|
| |
Wazifa Hello s4u kese ho?
Qasim Bhai ki baat bilkul theek hai wazife se jyda aap allah se duya kre jitne waqt wazife mein lagayegi utna duya mein dogi to who jyda achcha hai kio kio wazifa asa b hota hai jo hum aap sb kr sakte hai. Lakin kio wazifa asa hai jisse kisi ko nuksan ho ya who hum kisi ko jabdasti kisi se kam krne (agera wagera jo galat tareke se hote hai) who wazfe nahi krne chaye ye hamare islam mein nahi hai. |
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 98 Post: 5392 Age:
|
|
| Posted on:31st Aug 2010, 2:10pm |
|
| |
rE:tuba Ahmed WaAlikum Hello. main theik hon Alhamdulillah.aur aap?
thanks aapka bhi k mere is thread me ai aur ise read kia phir reply kia.
|
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 98 Post: 5392 Age:
|
|
| Posted on:15th Sep 2010, 11:24pm |
|
| |
aik aur sawal aksar log daily routine me jo duaein parha krte hain,kuch surtein bhi roz hi parhte hain.
aur ye sab aik dam se chor dena.theik nahi?aksar logon ka man'na ye bhi hai k hum agar koi dua ya koi surat daily parhte hain aur ose bilkul hi chorr dein to in k chorne k bad hume mukhtalif preshaniyon ka samna krna prta h.aur in preshaniyon ki waja yehi hoti h?hume chorne ki saza milti h.
to kia esa waqi hota h?
|
|
dom_man
|
Group: Members Joined: 13th Mar, 2009 Topic: 75 Post: 1334 Age:
34
|
|
| Posted on:15th Sep 2010, 11:29pm |
|
| |
s4u aisee koi baat nahin.sab loagon kee ghari huee batain hain. |
|