Quran Pak Ki Kul Ayat quran pak aik mukmal ayna-e-zindagi hay , aur ba'hasiyat-e-muslim hum sab ka iss baat par emaan hay , quran pak faqat kisi aik insan ki hadayet k liye nazal nahi howa balky yeh manshoor-e-alahi bashriyat wa kul insaniyat k liye hadayet ka sar chashma hay ,
sab muslims quran ko own karty hain agar kabi apni giry baano main jank kar daikhain to maloom ho k hum sab quran ko own karny k bawajood b iss quran sy kitny door hain , quran k nazool ka maqsad faqat murdon ko essaal-e-sawab karna nahi tha , quran k nazool ka maqsad faqat mehfilon ko norani karny ki gharz sy nahi tha , quran pak ka nazool faqat hafiz-e-quran ban'na nahi tha , quran pak ka nazool faqat qari-e-quran ban'na b nahi tha , yeh sab to quran pak fowayed hain jinhain hum maqsad bana baithy hain
jab k quran pak k nazool ka maqsad insan wa insaniyat ki hadayet tha ,laiken hum sab as a muslim jo quran ko to own karty hain kabi ghor to karain k hum sab kis hadd tak quran sy mutmasak ho saky hain ??quran sy kia hadayet lay saky hain ?
baaz oqat mujhy iss baat par b barra tajub hota hay k aysy forums par ya kisi b nijji mehfal main agar koi islamicaly baat ki jarahi ho to foran taqaza kiya jata hay k iss baat ka proof quran sy dikhao , agar dikhaya jaye to kaha jata hay k g yeh tarjma ka hair phiar hay ...hum nahi manty..!!! agar tarjma ka hair phair na b kaha jaye to phir b uss baat ko tasleem karny k bawajood uss par amal nahi kiya jata
yaani quran k manshoor sy mutmasak to hona nahi magar baat ki "chashni" ya behas baraye behas k liye quran sy hawala zaroor talab karna hay ...wah khoob
quran pak ki to aik aya majeeda ko agar insan apni zindagi main warid kar ly aur uss aya majeeda ka misdaq ban jaye aur uss aya majeeda ki amli tafseer ka namona paish kary to wo insan falah paa jaye ga , laiken aaj k muslim ko quran iss unwan sy qabool nahi aur na hi aaj k muslim ki demand hay aaj ka muslim quran sy faqt faal nikalny ko tarjeeh day ga , aaj ka muslim quran sy faqt wazeefy mangny ko tarjeeh day ga , aaj ka muslim quran sy faqt sawab hasil karny ki gharz sy issy reciet kary ga , aaj ka muslim quran sy faqat hawala mangy ga laiken quran aik muslim sy kis trah mukhatab hay , quran aik muslim ko kia kehan chah raha hay iss tarf aaj ka muslim jaany ko tayar nahi hay
iss ki waja sirf yahi hay k quran ko barkat ka sar chashma to maan liya geya hay jo k bila shuba hay b , magar quran ko hadayet ka sar chashma tasleem nahi kiya geya (wazy rahy k quran ko faqat zaban sy hadayet ka sar chashma kehny sy hadayet nahi milti quran sy hadayet lainy aur quran ko zinadgioun mai ba unwan-e-hadayet shamil karny sy hadayet milti hay )
quran as a barkat k unwan sy aaj muslims main quran ki qadar ko lazim qarar diya geya hay laiken quran ko na to hadayet ka sar chashma samjha geya hay aur na hi iss tarf taleem di gayee hay , jo k mu'ashry main asal bigarr ki waja bana hay
iss topic ko start karny ki aik waja yeh thi k aam reader ko b maloom ho saky k ghalt fehmiyan kis trah promote hoti hain aur kis trah haqeeqat par parda daal daiti hain , aaj iss topic k start karny sy qabal tak main b quran pak ki kiul ayaat 6666 par hi yaqeen rakhta tha laiken main ny socha k q na iss bary tahqeeq ki jaye k aya waqia e ayat ki kul tadad 6666 hay to ayat ko khud sy shumaar karny par barri khush guwaar si hairat hoi k daikho jo cheez hamary samny hay jis k dars ka hum zor shor sy elaan karty hain ussi ki asal tarteeb ya miqdaar sy haqeeqi waqif hi nahi hain
aur iss k sath sath afsos sy yeh b kehna parrta hay k hamary samny zinda-o-javaid majood hony wali haqeeqat k bary main b hum sab main kis qadar ikhtelaaf majood hay to phir yeh kaisy mumkin hay k aaj sy 1400 saal qabal roo pazeer ho jany waly waqiyaat k baary hamari samjh bhooj k lehaaz sy koi ikhtelaaf na paya jaata ho , ya ikhtelaaf na paya ja sakta ho
bas iss topic ko start karny ka yahi maqsad hay k hum quran sy faqat hawala jaat ki demand hi na karain kabi iss norani kitab ko khol kar iss par ghor b kar lain k yeh miqdar main hay kitni ,
waisy main iss baat par b qayel hon k quran pak ki ayat ki tadad majoda numbering / counting k lehaz sy 6666 bataye jaye yaa 6349 iss baat par ziyada focus rakhny ki bajaye quran sy milny wali hadayet par focus kiya jaye ...main ny just apni koshish ko manzar par laany ki khatar topic start kiya hay kisi sy behas-o-mubahisa har giz maqsod nahi tha , behas k liye deegar threads majood hain :)
|